Bass itni hi kahaani thi
meri…
Ek kitab thi jise maine
semester bhar chhua nahi tha. Kuch Professors the jo abhi bhi iss ummeed mein
the ki shayad launda pass ho jaye.
Ek roomie tha jo pagal tha.
Ek aur kitab thi jo course
ki nai thi jise mai 3 baar padh chuka tha.
Mera lappy tha, Mobile tha,
Beer ki bottlen thi, aur yeh ek dimag tha jo hamara sath chhod chuka tha, aur
yeh ek hamara dil tha jisme ab bhi himmat baki thi.
Hum padh sakte the, par
kiske liye?
Hum fod sakte the, par
kiske liye?
Mere dost, hostel, college
ki galiyan, sab mujhse chhut raha tha, par rakh bhi kiske liye lete.
Mere dil ki takat ya toh
mujhe pass kara sakti thi ya meri watt laga sakti thi...
Par saala ab padhe kaun,
kaun fir se mehnat kare?
Xerox karane ko, Notes
ratane ko.
Abey, koi to awaaz deke rok
lo!
Yeh faculty jo class mein
har roz hamari lete rehte hain, aaj bhi agar theek se padhaye toh mahadev ki
kasam top kar jayen..
par nahi, ab sala mood nahi
hai, Kitab band kar lene me hi sukh hai, Notes rakh dene mein he bhalai hai.
Par uthenge kisi roz, back
papers clear karwane ko, B.tech ke degree lene ko, Garv se ENGINEER kehlane ko…!!!
No comments:
Post a Comment